Poetry

Lovely Romantic Urdu Poetry Picture










Qateel Shifai Poetry

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Qateel Shifai Poetry

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe..
Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun..
Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe..
Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..
Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..
Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta..
Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe..
Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL,
Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai..

Qateel Shifai Poetry

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain..

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai..

Qateel Shifai Poetry

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,
Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,
Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,
Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,
Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,
Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,
Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,
Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,
Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,
Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..
(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

Qateel Shifai Poetry

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay “Qateel” ?
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye.

Qateel Shifai Poetry

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,
Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,
Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,
Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,
Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,
Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,
Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..
(mussawar;painter)

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Qateel Shifai Poetry

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay
Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay
Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay
Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay
Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain

Qateel Shifai Poetry

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain
Aur Ek Hum Ke Jo Ab Tak Wafaa Ki Qaid Mein Hain
Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata
Hamain Tou Umer Howi Rehnuma Ki Qaid Mein Hain
Thakay Tou Nazarain Chhurra Laaye Aasmaanon Se
Magar Wo Lab Ke Jo Ab Tak Duaa Ki Qaid Mein Hain
Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain
Saraab Hain Sabhi Aazaadiaan Fizaaon Ki
Kaheen Parinday Kaheen Par Hawaa Ki Qaid Mein Hain
Jab Apne Jaisi Hee Makhlooq Ke Shikanjay Se
Howay Rihaa Tou Ye Dekha Khuda Ki Qaid Mein Hain

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay

Qateel Shifai Poetry

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay
Guzrun Jo Os Ki Gali Se Tou Thandi Hawa Lagay
Mehmaan Ban Ke Aaye Agar Kisi Roz Wo Shakhs
Is Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lagay
Mein Is Lye Manaata Nahi Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Dua Lagay
Wo Qehat Dosti Ka Parra Hai Ke In Dinon
Jo Muskura Ke Baat Karay Aashna Lagay
Tark-e-Wafaa Ke Baad Ye Oski Adaa “Qateel”
Mujh Ko Sataaye Koi Tou Osko Bura Lagay

Be’chain Umangon Ko Behlaa Ke Chale Jana

Qateel Shifai Poetry

Be’chain umangon ko behlaa ke chale jana,
Hum tum ko na rokain ge bass aa ke chale jana,
Milne jo na aaye tum, thi kaun si majboori,
Jhoota koi afsaana, dohraa ke chale jana,
Jo aag lagi dil main, woh sard na ho jaye,
Bhujte huye sholo’n ko bharrkaa ke chale jana,
Ujrri nazar ati hai jazbaar ki haryaali,
Tum us pe koi baadal barsaa ke chale jana,
Furqat ki aziyaat mein, kuch sabar bhi laazim hai,
Yeh baat mere dil ko samjhaa ke chale jana,
Shayed ke behel jaye, deewana Qateel Is se,
Tum koi neya vaada farmaa ke chale jana..

Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe..

Qateel Shifai Poetry

Keh rahi hai mere jazbaat ki jhankaar tujhe,
Kar sake ga na koi meri tarah pyaar tujhe,
Raqss karti hai tere khoon mein meri khushbu,
Kya lubhaaye gi kisi phool ki mehkaar tujhe,
Woh baddan aik hi mar’mar se taraashey jis ne,
Main ne paaya usi fankaar ka shaahkar tujhe,
Shayed ab chup na sake raaz-e-mohabbat mera,
Main ne chup reh ke sadaa di hai kayi baar tujhe..

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo

Qateel Shifai Poetry

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo
Yaaro Sakoot Hee Ko Sadaa Keh Lia Karo
Khud Ko Faraib Do Ke Na Ho Talkh-e-Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-e-Wafaa Keh Lia Karo
Gar Chaahtay Ho Khush Rahain Kuch Bandagaan-e-Khaas
Jitnay Sanam Hain Un Ko Khuda Keh Lia Karo
Insaan Ka Agar Qad-o-Qaamat Na Barh Sakay
Tum Osko Nuqs-e-Aab-o-Hawa Keh Lia Karo
Apnay Lye Ab Ek Hee Raah-e-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Razaa-e-Khuda Keh Lia Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-e-Ziyaa “Qateel”
Jab Dil Jalay Tou Os Ko Dia Keh Lia Karo

Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye

Qateel Shifai Poetry

Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye
Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye
Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye
Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye
Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye
Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum

Qateel Shifai Poetry

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum
aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum
Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum
Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum
Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum
Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum
Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi ‘Qateel’
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay

Qateel Shifai Poetry

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay
Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahuun Khuda Na Karay
Rahay Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karay
Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karay
Suna Hai Osko Mohabbat Duaaein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot Tou Khaaye Magar Gila Na Karay
Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Karay
Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai
“Qateel” Jaan Se Jaaye Per iLtijaa Na Karay

Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se Judaa Hun Mein

Qateel Shifai Poetry

Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se Judaa Hun Mein
Laikin Ye Sochta Hun Ke Ab Tera Kia Hun Mein ?
Bikhra Para Hai Tere Hee Ghar Mein Tera Wajood
Bekaar Tujhe Mehfilon Mein Dhoondta Hun Mein
Mein Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf
Apnay Badan Ki Qabar Mein Kab Se Gada Hun Mein
Kis Kis Ka Naam Laun Zaban Par Ke Tere Sath
Har Roz Ek Shakhs Naya Dekhta Hun Main
Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Sab Kuch Tera Hun Main
Le Mere Tajrubon Se Sabak Ae Mere Raqib
Do Char Sal Umr Mein Tujhse Bara Hun Main
Jaaga Howa Zameer Wo Aaina Hai “Qateel”
Sonay Se Pehlay Roz Jisay Dekhta Hun Mein

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun

Qateel Shifai Poetry

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansuu Tere Daaman Pe Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun
Thak Gaya Mein Yaad Kartay Kartay Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Mout Bhee Shayarana Chahta Hun
Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaayion Mein
Phir “Qateel” Oske Dar Pe Jaana Chahta Hun

Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee

Qateel Shifai Poetry

Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee
Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ?
Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ?
Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee
Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee
Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ?
Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee
Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay

Qateel Shifai Poetry

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?
Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?
Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?
Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?
“Qateel” Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay ?

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain

Qateel Shifai Poetry

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain
Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain
Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha..

Qateel Shifai Poetry

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha
Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha
Suna Hai Gir Ke Mera Baadalon Ki Seerhi Se
Wo Aasmaan Ki Chhat Mein Shigaaf Karta Tha
Kamaal Hai Ke Howa Wo Bhee Nazar-e-BeKhabari
Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha
Wo Qatal Ho Gaya Badsooraton Ki Mehfil Mein
Jo Saaray Sheher Ke Aainay Saaf Karta Tha

Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta..

Qateel Shifai Poetry

Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
Ghar Waalon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahay Hain
Chooron Ko Magar Koi Malaamat Nahee Karta
Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta
Bhoola Nahee Aaj Bhee Mein Aadaab-e-Jawaani
Mein Aaj Bhee Auron Ko Naseehat Nahee Karta
Duniya Mein Qateel Ossa Munaafiq Nahee Koi
Jo Zulm Tou Sehta Hai Baghaawat Nahee Karta

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko

Qateel Shifai Poetry

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko
Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko
TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko
Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko
Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko

Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha

Qateel Shifai Poetry

Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha
Suna Hai Oske Taaqub Mein Ek Zamaana Tha
Na Tha Pasand Ksi Ko Bhi Dil Se Dil Ka Milaap
Magar Hamain TOu Diye Se Diya Jalaana Tha
Na Jaanay Bheeg CHali Kiun Hamaari Peshaani ?
Hamaaray Sar Pe Tou Sooraj Ka Shaamyaana Tha
Bohat Urooj Pe Thay Jub Hamaaray Qoul-o-Qasam
Hamaaray Pyaar Ka Wo Aakhri Zamaana Tha
Bohat Qareeb, Bohat Hee Qareeb Tha Sayyaad
Qafas Se Door Bohat Door Aashyaana Tha
Qateel Tujh Ko Mili Hai Isi Lye Shohrat
Ke Tu Samaaj Ki Tanqeed Ka Nishaana Tha

Roshni Chahye Sabaa Ke Lye

Qateel Shifai Poetry

Roshni Chahye Sabaa Ke Lye
Phool Roshan Karo Khuda Ke Lye
Osko Itna Bhee Meherbaan Na Kaho
Hum Taras Jaayein Ge Wafaa Ke Lye
Ishq Ki Intehaa Kisay Maaloom ?
Jaan Kaafi Hai Ibtedaa Ke Lye
Be-Gunaahi Jo Shart Tehri Hai
Hum Ko Chun Lijiye Sazaa Ke Lye
Parsaai Hai Buzdili Ka Naam
Honsla Chahye Khataa Ke Lye
Har Kisi Per Qateel Kiun Aata Hai ?
Dil Tha Sirf Ik Dil-Ruba Ke Lye

Jism Ke Jazeeray Mein, Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai..

Qateel Shifai Poetry

Jism Ke Jazeeray Mein, Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai
Is Pe Raaj Hai Jis Ka, TU Wo Shehzaadi Hai
Apnay Dar Pe Sajdon Ki Raah Kia Dikha Di Hai
TU Ne Mere Maathay Per Zindagi Sajaa Di Hai
Tujh Ko Bhoolna Chaahon, Aur Shikast Khaa Jaon
Kitni Be-Waqar Apni Quwwat-e-Iraadi Hai
Justuju Ke Sehraa Mein Ab Kahan Koi Aanchal ?
Mein Ne Apni Chhaon Bhi Dhoop Mein Ganwa Di Hai
Yaad Kar Ay Taaj Kubhi Tu Bhi Os Mohabbat Ko
Jis Ne Tere Marmar Ko Chaandni Pila Di Hai
Mera Saath Kia Dega Shaikh Barsar-e-Mehfil ?
Wo TOu Chhup Ke Baichaarah Jhoomnay Ka Aadi Hai
Dost Sab Qateel Apnay Tul Gaye Raqaabat Per
Mein Ne Koi Dil Ki Baat Jub Unhain Suna Di Hai

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun

Qateel Shifai Poetry

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun
Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun
Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun
Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun
Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun ?

Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun

Qateel Shifai Poetry

Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun
Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun
Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun
Li Hai Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun
Chhin Gaya Mulk-e-Jawaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun
Koi Bhi Gham Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun
Osne Tou Bas Ik Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun
Ishq Karke Aap Bhi Ban Jaayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun
Aashiqui Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qana’at Kar Raha Hun
Aasmaan Jo Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki Jurrat Kar Raha Hun
Mein Ne Dekha Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???

Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray..

Qateel Shifai Poetry

Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin Sadaa Suhaana Raha
Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi Shayaraana Raha
Khuda Bhi Maan Liya, Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna Gaayebaana Raha
Likha Howa Tha Mera Maazi Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Haayil Wo Aashyaana Raha
Paron Ke Dhair Lagay Hain Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi Ka Aashyaana Raha
Kaheen Kaheen Koi Raahat, Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar Wohi Puraana Raha
Qateel Tark-e-Maraasim Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath Dostaana Raha

Sirf Tere Haathon Ko Choomon Teri Bait Chaahoon

Qateel Shifai Poetry

Sirf Tere Haathon Ko Choomon Teri Bait Chaahoon
So Dar Chhor Ke Teri Ik Haseen Karaamat Chaahon
Thoray Thoray Din Kaatay Hain Kitni Hee Galyon Mein
Aakhri Baar Tere Dil Mein Ay Dost Sakoonat Chaahon
Aa Mein Koi Dhang Sikhaaon Tujhko Baichaini Ka
Tera Dost Hun Apni Si Teri Bhi Haalat Chaahon
Tere Zehen Ki Chaandi Aur Tere Badan Ka Sona
Apna Jism Luta Kar Bhi Mein Sirf Ye Daulat Chaahon
Ooper Waala Pooch Hee Baithay Mujhse Tou Mein Buzdil
Tujh Se Khul Kar Baatain Kar Saknay Ki Himmat Chaahon
Be-Garzi Ki Aakhri Had Per Banaa Qateel Jo Saathi
WOhi Tou Hai Ik Shaks Jisay Mein Binaa Zaroorat Chaahon

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne

Qateel Shifai Poetry

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne
Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?
Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne
Maikada Bund Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakh’ta Howa Paya Mein Ne
Shair-o-Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne

Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main

Qateel Shifai Poetry

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,
Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,
Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,
Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,
Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main..

Angrayi pe angrayi leti hai

Qateel Shifai Poetry

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki
wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki
urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

urdu poetry for 2014
Wo log jin se teri bazm main the hangame
Zaid gae to kia teri bazm-e-khayal se bhi gae



urdu shayari 2014
Kabhi kabhi safar-e-zindagi se thak kar hum _ _ _
Zaid tere khayal ke sae main beth jate hain



best poetry images
Ye mere charoun taraf kis lie aujala he
Zaid tera khayal he ya din nikalne wala he



barish poetry 2014
In barishoun se dosti achi nahi zaid
Kacha tera makan he kuch to khayal kar



latest poetry in urdu
Baksha he thokaroun ne sambhalne ka hosla
Zaid har hadsa khayal ko gherai de gaya
mohabbat ghazal shayari

                    Sanam tum ne kha tha ye
                    Mohabbat jadowan karlein
                    Nighahoun se bayan karlein
                    Ye lafzoun ki mohtaj nahi hoti he
                    Nigahoun se aayaa hokar
                    Matah khas hoti he
                    Sirf tum ko hi chaha he
                    Tumhari bat mani he
                    Aaj bhi dam-e-rukhsat
                    Laboun se kuch na boloun gi
                    Magar
                    Mera ye phelta kajal
                    Lab khamosh se phele

                    Zaid tumhain sub kuch bata dega  


Aakhir Kyun

urdu saddest ghazal

                    Aakhir kyun main samajhna paya ke ,
                    Ye aas thi ke tum meri ho _
                    Magar aaj , mari aas , udas hogai...
                    Han ! kyunke meri aas main ,
                    Us ka dard aur mera piyar ro numa tha _
                    Aur jab dard ka phela hurf,
                    Aur piyar ka tesra hurf
                    Us main shamil hua to udas kar gaya...
                    Aur main samajhna paya,

                    Zaid aakhir kyun samajhna payia

Zindagi Ahtiyat He


urdu poetry zindagi

                    Zindagi !
                    Ek Sapris
                    Jo kisi bhi same
                    Aik ashara khunodi pe
                    Wapis
                    Parvaz kar jati he
                    Zindagi
                    Ek bulbula pani ka
                    Ek halka sa jhonka hawaka
                    Use dour,bohut dour
                    Sub se dour , le jata he
                    Zindagi ! ahtiyat !! he zaid
                    Bus aur to kuch nahi
best nazam shayari

                    Dukh ye nahi ke
                    To nahi mailta
                    Dukh ye he ke
                    Tone milna chor dia he
                    Magar zaid !!!
                    To nahi badla

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Robert Lee Frost – Once By The Pacific



The shattered water made a misty din.
Great waves looked over others coming in,
And thought of doing something to the shore
That water never did to land before.
The clouds were low and hairy in the skies,
Like locks blown forward in the gleam of eyes.
You could not tell, and yet it looked as if
The shore was lucky in being backed by cliff,
The cliff in being backed by continent;
It looked as if a night of dark intent
Was coming, and not only a night, an age.
Someone had better be prepared for rage.
There would be more than ocean-water broken
Before God’s last *Put out the Light* was spoken.
 






 

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun,
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun,

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le,
Kar Raha Ha Imere Fard-E-Jurm Ki Taharir Kaun,

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai,
Aaj Mere Naam Lata Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun,

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Waapas Aayi Thi,
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taamir Kaun,

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai Daamangeer Kaun,

Meri Chadar To Chhini Thi Shaam Ki Tanhayi Ne,
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kaun,

Dushamno Ke Sath Mere Dost Bhi Aazaad Hai,
Dekhna Hai Khichta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazre Milana Milake Jhukana,

Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,

Saagar Si Aankhon Mein Main Utra Tha Gehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jaana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,

Tere AshQon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Meethe Se Hothon Se Meethi Si Baatein,
Mohabbat Ke Nagmo Se Bheegi Si Raatein,

tum bhi Khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqeen k bure ham hain dosto

kis ko hamare hal se nisbat hai kya karen
Ankhen to dushmanon ki bhi purnam hain dosto

apane siwa hamare na hony ka Gham kise
apani talash mein to ham hi hum hain dosto

kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shaher k chiragh bhi maddham hain dosto

is shahar-e-aarazu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqe bhi koi dam hain dosto

sab kuch sahi ‘Faraz’ par itana zaroor hai
dunya mein aise log bohat kam hain dosto
=========================
Dil pe ek tarfa qayamat karna
Dil pe ek tarfa qayamat karna
Muskaraty hoey rukhsat karna

Achi Ankhen Jo Mili hain is ko
Kuch to lazim hua Wehshat karna

Jurm kis ka tha , saza kis ko mili
kya gai baat pe hujjat karna

kon chahe ga tumhen meri tarah
ab kisi se na mohabbat karna

Ghar ka darwaza khulla rakha hai
Waqt mil jaye to zehmat karna
_________________________________________________________
Tum Hi they Badle Hue Ya Meri Nigahen Thi
tum hi they badle hue ya meri nigahen thi
tumhari nazron se lagta tha jaisy meri bajaye
tumhary ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhary ohad ki denen tumhe mubarak

so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya

kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat

pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte.
=============================
Paas Aao, ek eltja sun lo.
Pyar Hai Be-Panah sun lo

Ek Tumhi ko Khud sa Manga hai.
Jab bhi Koi Dua Mangi Sun lo.

Ibtedaey Ishaq ki How Tum Sa.
Tum ko Chaahat Ki Intehaa Sun lo.

Bin tery ji nhi sakunga main.
Lout Aao meri Sadaa sun lo.

Dekh lo Zindagi Adhoori hai.
Na Raho or ab Juda sun lo.
======================
Kya Bat Kahon Un Ankhon Ki
Jin Aankhon Pe Mein Marti Hoon

Wo Aankhein Jheel Si Aankhein Hain
Jin Mein Doob Ke Roz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Ke Lye Uthte Hain
Miltey Hi Nazer Wo Jhukte Hain

Sarey Jahaan Mein Aisi Aankhein Nahi
Jin Aankhon Pe Mein Marti Hoon

In Aankhon Mein Koi Aansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Ghum Na Paas Aye Koi

Sada Muskurati Rahein Ye Aankhein
Har Dam Ye Dua Mein Karti Hoon

Kya Bat Hai Un Aankhon Ki
Jin Aankhon Pe Mein Marti Hoon
=======================
Kis kadar zulam dhaya karty ho
Ye jo tum bhool jaya kerty ho

Kis ka ab hath rakh k seeny per
Dil ki dharhkan sunaya kerty ho


Hum jahaan chaye peeny jaty thay
Kya wahaan ab bhi aaya kerty ho

Kon hai ab k jis k chehre per
Apni palkon ka sayaa kerty ho

Kyun mery dil main rakh nahi dete
Kis lye ghum uthaya kerty ho

fone per geet jo sunate they
Ab wo kis ko sunayaa kerty ho

Akhri khat main usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho.
======================
Dil Lagi Thi, Usay Hamse Mohabbat Kab Thi,
Mahfil-e-Ghair Se Usay Fursat Kab Thi.

Hum Thay Mohabbat Mein Lut Jane Ke Qaeil,
Us Ke Wadon Main Kasmon Main Haqiqat Kab Thi.
Wo to Waqt Guzarny K Lye Karty Thay Baatein,
varna Meri Khatir Uske Dil Main Chahat Kab Thi
=====================

In Barishon Se Dosti Achhi Nahi FARAZ…

Tilak Ke Diggein Ga te Fer Changa Raen Ga…
======================
ambi thi kal kataar ticket gher k saamney
Mohatarma bhi khareen theen waheen ik shaan se

Tun Tun se bhi zyada jasamat (mota) main tha badan,
Tha mard unke age nehayet hi khastatan (dubla-patla)

Mohtarma se wo bola k Dhakka na dejiye,
Mujh natawan(bechare) pe zara rahem to kijiye.

Mohtarma ne bigar kar kaha chahe kuch bhi ho,
Dhakka nahi diya hai abhi humne aapko.

Ilzaam is tarah ka sarasar ghalat na dain,
Hum SAANS LE RAHE HAIN, TO KYA SAANS BHI NA LEIN
=====================
is qadar shiddat se socha hai musalsal main ne
is qadar shiddat se socha hai musalsal main ne
ke aaj meri zaat ka mujh se ikhtilaf ho gya
====================
Jis ko Tufan se uljhne ki ho Aadat Mohsin..
Jis ko Tufan se uljhne ki ho Aadat Mohsin..
Aisi Kashti ko Samandar bhi Dua deta hai
===================
Hum apne haq main khud hi boltey hain waqt any pr
Hum apne haq main khud hi boltey hain waqt any pr
Hamarey Ashnaa or Meharbaan Khamosh Rehtey hain
==================
Qabron main nahi hum ko kitabon main utaro
Qabron main nahi hum ko kitabon main utaro
hum log mohabbat ki kahani main mare hain
=================
Linen kat-ti rahen lagaz badalne k sabab
Linen kat-ti rahen lagaz badalne k sabab
koi tehrir musalsal nahi hone pai
Hasil-e-Umar Chand Adhoorey Khakey
Koi Tasveer Mukammal Nahi Honey Pai
*************************




Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai
Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai
Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai
Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai
Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai
Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai
Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai
Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai
Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai
Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai
Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai
Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai
Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai
====
Urdu Love Poetry
Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna

Mai Vo Kyun Bahut Peete Bazm-E-Gair Main Yaarab
Aaj Hi Hua Manzur Un Ko Imtihaan Apna
Manzar Ik Bulandi Par Aur Ham Bana Sakte
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ke Makaan Apna
De Vo Jis Qadar Zillat Ham Hansi Main Talenge
Baare Aashna Nikla Unka Paasbaan Apna
Dard-E-Dil Likhoon Kab Tak? Jaaun Un Ko Dikhla Dun
Ungliyaan Figaar Apni Khaamakhoon Chakaan Apna
Ghiste Ghiste Mit Jaata Aap Ne Abas Badla
Nang-E-Sajda Se Mere Sang-E-Aastaan Apna
Ta Kare Na Gamaazi, Kar Liya Hai Dushman Ko
Dost Ki Shikayat Main Ham Ne Ham-Zabaan Apna
Ham Kahaan Ke Daana The Kis Hunar Main Yakta The
Besabab Hua ‘Ghalib’ Dushman Aasmaan Apna
===

Mirza Ghalib

Na Hoga Yak Bayabaan Maandagi Se Zauq Kam Mera
Hubaab-E-Mauj-E-Raftaar Hai, Naqsh-E-Qadam Mera
Mohabbat Thi Chaman Se, Lekin Ab Ye Bedimaagi Hai
Ke Mauj-E-Bu-E-Gul Se Naak Main Aata Hai Dam Mera
===
Ye Na Thi Hamaari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rahte Yahi Intezaar Hota
Tere Vaade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhuth Jaana
Ke Khushi Se Mar Na Jaate Agar Aitbaar Hota
Teri Naazuki Se Jaana Ki Bandha Tha Ahdbodaa
Kabhi Tu Na Tod Sakta Agar Ustavaar Hota
Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-E-Nimkash Ko
Ye Khalish Kahaan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota
Ye Kahaan Ki Dosti Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
Koi Chaarasaaz Hota, Koi Gamgusaar Hota
Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahu Ki Phir Na Thamta
Jise Gam Samajh Rahe Ho Ye Agar Sharaar Hota
Gam Agarche Jaangusil Hai, Pe Kahaan Bachen Ke Dil Hai
Gam-E-Ishq Gar Na Hota, Gam-E-Rozgaar Hota
Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Gam Buri Balaa Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota
Hue Mar Ke Ham Jo Rusva, Hue Kyun Na Garq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthta, Na Kahin Mazar Hota
Use Kaun Dekh Sakta Ki Yagana Hai Wo Yakta
Jo Dui Ki Bu Bhi Hoti To Kahin Do Chaar Hota
Ye Masaail-E-Tasavvuf, Ye Tera Bayaan ‘Ghalib’
Tujhe Ham Wali Samajhte, Jo Na Baada Khvaar Hota
==
Mjhe zindagi ki dua na do…!!
Meri zindagi se bani nae…..!!
Koi zindagi per kare yakeen,
Mjhe zindagi pe yakeen nae,

Ye safr b kesa safr hy..?
Mn kbhi kahin to kbhi kahin,
Mjhe js pyar ki talash thi,
Wo mila magr mila nae,
Mn wo baat hn jo bani nae,
Mn wo raat hn jo kati nae,
Mjhe Zindagi ki dua na do..!
Meri zindagi se bani nae..!!
==
Mohabbat pani pani hay
Meri pani ki basti hay
Samandar paar karne k liye
Kaghaz ki kashti hay
Diloon k khana_e_verani ka
Yun matam naheen karte
Jahan badal naheen hote
Wahan rahmat barasti hay
Mohabbat k kharedaran miyan
Upar se ate hain
Mohabbat zindagi de kar
Agar mil jaye sasti hay
==========
Saath chalnay waalay jab
Saath chhorr jaaty haiN
Waqt tham nahiN jaata
Koi mar nahiN jaata
Koi mar bhi ja’ay to
Zindagi nahiN rukti
RaastoN ko chalna hay
Raastay to chaltay haiN
Yaar dost miltay haiN
Zakhm aisay siltay haiN
Gard gard lamhoN maiN
Umr kat hi jaati hay
Kuchh musafiroN ko bas
ManzilaiN nahiN milteeN
===========
Tum Mere Hoke Raho
Apni Khatir Jagey Ho Soye Ho
Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho
Kis Liye, Aaj Khoi Khoi Ho
Tum Ne Ansoo Bohat Piye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Tum Azal Se Dokhoon Ke Derey Ho
Chahey Khud Ko Ghumoon Main Gehero Ho
Jub Se Paida Hoye Ho Mere Ho
Aaj Kholengey Lab Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere, Sirf Mere Hoke Raho
Aab Mujhe Apne Dard Sane Do
Dil Ki Or Baat Dil Se Kehne Do
Meri Bahoon Main Khud Ko Beney Do
Moddaton Zakham Khud Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Husn He Husn Ho, Zahnat Ho
Ishq Hon Main Tu Tum Muhabbat Ho
Tum Meri Bus Meri Amanat Ho
Jee Liye, Jis Qader Jiye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Rehte Ho Ranj-O-Gham Ke Gheron Main
Dukh Ke, Aasaib Ke Baseron Main
Kaise Choron Tumey Andhero Main
Tum Ko De Donga Sub Diye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Aab Mere Sirf Mere Hoke Raho
===



Zulmat kade mein mere shab-e-gham ka josh hai…
Ek shamaa hai daleel-e-sahar, so khamosh hai…
In the world of darkness , There is spirit of my night of sadness…
One candle which is proof of morning , is silent too…
Na hi muzda-e-wisaal na nazaara-e-jamaal…
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai…
Neither is the good news of meeting nor sight of the beauty…
Its long while, that last heard or saw my beloved…
Maiy ne kiya hai, husn-e-qudaara ko behijaab…
Aye shauq, yahan ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai…
Wine has lifted the veil of the fake beauty of the self adorer..
Oh desire here you are just permission of greeting of a mind…
Gauhar ko ikd-e-gardan-e-qubaan mein dekhna…
Kya auj par sitaara-e-gauharfarosh hai…
Saw the pearl in the necklace of the my beloved…
At what a summit the star of the pearl merchant is…
Deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast…
Bazm-e-qayaal maikada-e-beqarosh hai…
Appearance , promise , courage , wine disperser , a beautiful sight…
At the meeting of thought the bar is quite dead…
Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat nigaah ho…
Meri suno jo gosh-e-naseehat niyosh hai…
Look at me the if your eyes poccess sight of admonition…
Listen to me if you have the ear of the advice listener..
Daagh-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee huvi…
Ek shamaa reh gayi hai so wo bhi qamosh hai…
Stain of saperation of company of night is burnt…
One candle is left and that too is silent…
Aate hain ghaib se ye mazaameen qayaal mein…
‘GHALIB’, sareer-e-qaama nawa-e-sarosh hai….
Comes mysteriously such thoughts in my mind that…
GHALIB , scratching sound made by pen is the voice of an angel…
====================
saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil me.n hai
saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil me.n hai
bas nahii.n chalataa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil me.n hai
dekhanaa taqariir kii lazzat ki jo usane kahaa
mai.nne yah jaanaa ki goyaa yah bhii mere dil me.n hai
garache hai kis kis buraa_ii se vale baa ii.n hamaa
zikr meraa mujh se behatar hai ki us mahafil me.n hai
bas hujuum-e-naa umiidii Khaak me.n mil jaayagii
yah jo ik lazzat hamaarii sa_i-e-behaasil me.n hai
ra.nj-e-rah kyo.n khe.nchiye vaamaa.ndagii ko ishq hai
uTh nahii.n sakataa hamaaraa jo qadam ma.nzil me.n hai
jalvaa zaar-e-aatash-e-dozaKh hamaaraa dil sahii
fitanaa-e-shor-e-qayaamat kis kii aab-o-gil me.n hai
hai dil-e-shoriidaa-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apanii tamannaa par ki kis mushkil me.n hai
=====
sab kahaa.N kuchh laalaa-o-gul me.n numaayaa.N ho gaii.n
Khaak me.n kyaa suurate.n ho.ngii ki pinhaa.N ho gaii.n
yaad thii hamako bhii rangaa rang bazmaaraaiiyaa.N
lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisiyaa.N ho gaii.n
[rangaa rang bazmaaraaiiyaa.N=decorations]
[naqsh-o-nigaar=flowery decorations; taaq-e-nisiyaa.N=forgotten shelf]
thii.n banaatunnaash-e-garduu.N din ko parde me.n nihaa.N
shab ko unake jii me.n kyaa aaii ki uriyaa.N ho gaii.n
[banaatunnaash-e-garduu.N=the stars comprising the Big Dipper; uriyaa.N=nude]
qaid me.n yaaquub ne lii go na yuusuf kii Khabar
lekin aa.Nkhe.n rauzan-e-diivaar-e-zi.ndaa.N ho gaii.n
[rauzan=hole; zi.ndaa.N=prison]
sab raqiibo.n se ho.n naaKhush, par zanaan-e-misr se
hai zulaiKhaa Khush ke mahv-e-maah-e-kanaa.N ho gaii.n
[misr=Egypt]
[mahv-e-maah-e-kanaa.N=enraptured by the moon of Egypt (here denotes Yusuf)]
juu-e-Khuu.N aa.Nkho.n se bahane do ki hai shaam-e-firaaq
mai.n ye samajhuu.Ngaa ke shamae.n ho farozaa.N ho gaii.n
[juu-e-Khuu.N=flow of blood]
in pariizaado.n se le.nge Khuld me.n ham intaqaam
qudarat-e-haq se yahii huure.n agar waa.N ho gaii.n
nii.nd usakii hai, dimaaG usakaa hai, raate.n usakii hai.n
terii zulfe.n jisake baazuu par parishaa.N ho gaii.n
mai.n chaman me.n kyaa gayaa, goyaa dabistaa.N khul gayaa
bul-bule.n sun kar mere naale, Gazal_Khvaa.N ho gaii.n
[dabistaa.N=school; naale=lament; Gazal_Khvaa.N=poetic]
vo nigaahe.n kyuu.N huii jaatii hai.n yaarab dil ke paar
jo merii kotaahii-e-qismat se mizshgaa.N ho gaii.n
[kotaahii-e-qismat=lack for fortune; mizshgaa.N=eyelids]
bas ki rokaa mai.n ne aur siine me.n ubhare.n pai ba pai
merii aahe.n baKhiyaa-e-chaak-e-gariibaa.N ho gaii.n
[baKhiyaa=a stitching pattern]
waa.N gayaa bhii mai.n to unakii gaaliyo.n kaa kyaa javaab
yaad thii jitanii duaaye.n, sarf-e-darbaa.N ho gaii.n
jaa.Nfizaa hai baadaa, jisake haath me.n jaam aa gayaa
sab lakiire.n haath kii goyaa rag-e-jaa.N ho gaii.n
[jaa.Nfizaa=life-giving; baadaa=liquor]
ham muvahihad hai.n, hamaaraa kesh hai tark-e-ruusuum
millate.n jab miT gaii.n, ajzaa-e-iimaa.N ho gaii.n
[muvahihad=believer in one God; kesh=religion]
[tark-e-ruusuum=departure from traditional practices]
[millate.n=community; ajzaa-e-iimaa.N=part of religion]
ra.nj se Khuugar huaa insaa.N to miT jaataa hai ra.nj
mushkile.n mujh par pa.Di itanii ke aasaa.N ho gaii.n
[Khuugar=used to]
yuu.N hii gar rotaa rahaa ‘Ghalib’, to ae ahl-e-jahaa.N
dekhanaa in bastiyo.n ko tum ki viiraa.N ho gaii.n
=======
ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n
======
Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
ragon mai daudane ke ham nahi kayal
jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane?
Na tha main to khuda tha,
kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne,
na hota main to kya hota
Kahu kis se ki kya kiya hai
shabe gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna
gar ek baar hota
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
huee muddat ke ?GHalib? mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?
=============
har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’ ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ‘GHalib’ kee aabroo kya hai ?
---------------------------------------------------------------------------------------------

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…
==
Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
“Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai”
==
mohsin
==
Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech
ab tou khulnay lagay maqtal bharay bazaar ke beech
==
Mein nay iss torr say chaha tujhy aksar jana
Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay
Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
Jesay khushbo ko hawa rang say hatt kar chahay
==
Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech
Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech
dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech
Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech
==
Iltimas-e-Dua From All of You with another great ghazal of Mohsin
KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA
MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA
TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA
MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA
MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA
==
urdu
==
shayari

=

==

Two of my favourites :